My favorite ghazal that stirs soul and haunts.........
"Tark-e-taaluqaat pe roya na tu, na main
Lekin yeh kya ke chain se soya na tu, na main..
Woh humsafar tha magar ussey humnawaayi na thi
Ke dhoop chhaon ka alam raha, judaayi na thi...
Na apna ranj na auron ka dukh, na tera malal,
Shab-e-firaq kabhi humne yun gawaayi na thi...
Mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha,
Shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi..
Adaawatein theen, taghaful tha, ranjishein theen,
Bicharhnay walay mein sab kuch tha, bewafaayi na thi...
Bicharthay waqt un aakhon mein thi humari ghazal,
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunaayi na thi..
Kise pukaar raha tha woh doobta hua din,
Sada to aai thi lekin koi duhaai na thi...
Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat,
Kabhi yeh marhala jaise keh aashnayi na thi..
Ajeeb hoti hai rah-e sukhan Naseer,
Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasayi na thi."
-Naseer Turabi